ye aansu nhi dard hai mera
pani ki tarah bahane do zara
ghut ghut ke ji raha hun me
khul kar jine do zara
samajhdaar ban kar bahut roya hun me
bacha ban kar hasne do zara
bahut raha hun me dusro ke liye jhootha ban kar
apne liye sacha ban kar rahne do zara
khilafat hai hazaaro duniya me mere liye
inteha ho chuki hai bandisho ki
thak chuka hun me in khilafato se
hamesha ke liye zara aankhe band kar ke sone do zara
No comments:
Post a Comment