mera chehra khushi se khil jata hai
jab bhi vo din yaad aata hai
essa laga tha jese kismat meri khuli thi
jab pehli baar meri nazar tumse mili thi
me to vaha khara bas tumhe dekhta rah gaya
aur tum mujhe dekhne ke liye muri thi
essa laga tha jaise baarish ki pehli boodh registan se mili ho
Aur jaise ujarde chaman me koi gulab ki kali khili ho
vo meri zindagi ka sabse hasin pal tha
usme na koi kapad tha na koi chhal tha
zarurat ban chuka tha mera tumhe dekhna
waha jane ka to bas chahiye hota tha koi bahana
ek me hi to tha jo tujhse sacha pyaar karta tha
apni jaan bhi tujh par nisaar karta tha
phir kyon tumne mujhe thuraya saman
kyon dhaye tune mujhe aise sitam
na kisi se kuch kaha gaya
aur na kisi ke aage roya gaya
dil hi dil me rota raha
bas tumhare bare me sochta raha
kya khata hui humse
mene to bas sacha pyaar hi kiya tha tumse
koi shikwa nhi bas itna hi hai gila
dil nhi dekha tumne dekha to bas chehre mera
ab to tumhare saath guzara har pal yaad aata hai
sochta hun jab unke bare me to vo ankho me ansu le aata hai
Ab to tu hi nahi hai bas teri yaadein hai saath me
me hun khamoshi hai aur meri tanhai hai saath me
itna pyaar mene tumse kiya
tumne mujhe uska ye sila diya
tu to mujhe yaha chod kar chali gayi
aur jisne tujhe chaha nahi tu to ussi ko mil gayi
No comments:
Post a Comment