Wednesday, March 21, 2012


kuch tham si gayi hai zindagi
kuch kam si hai zindagi
gum hun me har disha me
ya har disha gum hai mujhme


jo bas me sab kar liya
jo kahna tha kah liya
ab aur kuch na raha hai baki
jhoothi ashao se khudko behla liya
ab kuch thak si gayi hai zindagi
isliye kuch tham si gayi hai zindagi


anjaani raho par chale ja rahe hai
apne hi aag me jale ja rahe hai
ehsaas hi nahi hai apne hone ka
dard bahut hai uske khone ka
uski soch me doobi hai zindagi
kuch tham si gayi hai zindagi


tanha tanha si gujar rahi hai raatein
Jaan nahi nahi ab mujhme bas chal rahi hai saasein
shaam hoti hai sama udaas ho jata hai
kuch kisse jehan me ghar kar gye hai
ab jeene nahi de rahi hai uski yaadein
Kuch gum se gayi hai zindagi
kuch tham si gayi hai zindagi

Friday, February 10, 2012

Baat hi kuch aur thi



Mile to hum pehle bhi the
Par aaj baat hi kuch aur thi
Duriya nazdeekiya ban chuki thi
Aaj mulakaat hi kuch aur thi


Shaam dheere dheere dhal rahi thi
Humare dil me becheniya pal rahi thi
Sama kuch romani ho raha tha
Uski zeel si ankho me kuch kho raha tha
Guftagu to pehle bhi bahut hui thi
Par aaj ki baat ki baat hi kuch aur thi


Taro se bhar gaya tha aasma
Chand bhi ho gaya khushnuma
Vo chandni me nahayi thi
Fiza usse dekh kar sharmayi thi
Raatein to pehle bhi bahut gujri
Par aaj ki raat ki baat hi kuch aur thi


Andhera hata roshni ki chata chhayi
Subah ne le li angrayi
Ankh khuli to ehsaas hua
Ye to bas ek khwaab tha
Ek hasin yaad tha
Khwaab to pehle bhi bahut dekhe the
Par aaj ke khwaab ki baat hi kuch aur thi

Monday, November 28, 2011

Meri Dastaan 2


kisi ne kaha humse ki
tumhari kavita me vo luft nahi
vo gehrai nahi
hume kaha ye alfaaz to dil se nikalte hai
jiski gehrai ko kabhi kisi ne chhua hi nahi


Ajab si kuch yun daastan hui hamari
tanhai aayi jholi me sari ki sari
yun to jane pehchane bht log hai zindagi me
koi khaas ho, jo dil ke pass ho
essa koi humnasheen hua hi nahi
un dil ki gehraiyo ko kabhi kisi ne chhua hi nahi


padte hai jab be ishq ke kisse
dil me ek dard sa uthta hai
gam ki chhata chhai rahti hai
in viraniyo me ab dum sa guthta hai
akhir kaise likhe fasane-e-mohbaat
isliye kabhi esse lafz nikle hi nahi
un dil ki gehraiyo ko kabhi kisi ne chhua hi nahi


sitaro se bhara hai aasma, bas aftaab ki kami hai
mehfil me phool to kahi hai bas ek gulaab ki kami hai
yun to khuda ka diya sab kuch hai hamare pass
khushi rahne ke dua ki kami hai
nikli kisi ne dil se essi dua hi nahi 
un dil ki gehraiyo ko kabhi kisi ne chhua hi nahi