Friday, April 22, 2011

Sikh liya hai



apni buri kismat ke saath jeena sikh liya hai
ye karwa jaam peena sikh liya hai


koi humsafar nahi is rah me mera
har mod par naye dost banana sikh liye hai


bahut tej chalna bhi khatre ki nishani hai
kuch der thaharna bhi sikh liya hai


asan nhi hai zindagi ka safar teh karna
kadam kadam par jir kar uthna sikh liya hai


manzil ab jyada dur nahi hai jab itna intezaar kar liya
kuch der aur intezaar karna sikh liya hai


chahe jaise bhi ho meri zindagi ka safar
zindagi ko pyaar se gale lagana sikh liya hai

apni buri kismat ke saath jeena sikh liya hai
ye karwa jaam peena sikh liya hai

5 comments:

  1. beautiful poem
    like it
    walking fast is also not good
    every line is beautiful says something

    ReplyDelete
  2. thnk u sm...ppl like u inspired us 2 rite more....:):)

    ReplyDelete
  3. jabardast dost, pakka dil tootney ka case hai per itna zarur kahunga kee likha contine kar, jo bhi gam hai likhtey likhety kam ho jaata hai, persoanl experience dude,awesome poem n damn u r learnin fast :)

    ReplyDelete
  4. @vineet- i ve been rittin frm past 3 years(nt a remarkable success though...:D) bt thnks 4 readin ma work...:):)

    ReplyDelete