apni buri kismat ke saath jeena sikh liya hai
ye karwa jaam peena sikh liya hai
koi humsafar nahi is rah me mera
har mod par naye dost banana sikh liye hai
bahut tej chalna bhi khatre ki nishani hai
kuch der thaharna bhi sikh liya hai
asan nhi hai zindagi ka safar teh karna
kadam kadam par jir kar uthna sikh liya hai
manzil ab jyada dur nahi hai jab itna intezaar kar liya
kuch der aur intezaar karna sikh liya hai
chahe jaise bhi ho meri zindagi ka safar
zindagi ko pyaar se gale lagana sikh liya hai
apni buri kismat ke saath jeena sikh liya hai
ye karwa jaam peena sikh liya hai
beautiful poem
ReplyDeletelike it
walking fast is also not good
every line is beautiful says something
thnk u sm...ppl like u inspired us 2 rite more....:):)
ReplyDeletejabardast dost, pakka dil tootney ka case hai per itna zarur kahunga kee likha contine kar, jo bhi gam hai likhtey likhety kam ho jaata hai, persoanl experience dude,awesome poem n damn u r learnin fast :)
ReplyDelete@vineet- i ve been rittin frm past 3 years(nt a remarkable success though...:D) bt thnks 4 readin ma work...:):)
ReplyDeleteNice :) Simple yet effective!!
ReplyDelete