Friday, February 10, 2012

Baat hi kuch aur thi



Mile to hum pehle bhi the
Par aaj baat hi kuch aur thi
Duriya nazdeekiya ban chuki thi
Aaj mulakaat hi kuch aur thi


Shaam dheere dheere dhal rahi thi
Humare dil me becheniya pal rahi thi
Sama kuch romani ho raha tha
Uski zeel si ankho me kuch kho raha tha
Guftagu to pehle bhi bahut hui thi
Par aaj ki baat ki baat hi kuch aur thi


Taro se bhar gaya tha aasma
Chand bhi ho gaya khushnuma
Vo chandni me nahayi thi
Fiza usse dekh kar sharmayi thi
Raatein to pehle bhi bahut gujri
Par aaj ki raat ki baat hi kuch aur thi


Andhera hata roshni ki chata chhayi
Subah ne le li angrayi
Ankh khuli to ehsaas hua
Ye to bas ek khwaab tha
Ek hasin yaad tha
Khwaab to pehle bhi bahut dekhe the
Par aaj ke khwaab ki baat hi kuch aur thi