Monday, July 4, 2011

Wafa ya bewafa thi meri vo sanso me basa hai vo
Juda hua hi nahi vo humse usse begana kya kahe.n

Na ho dard jisme ho na pyaar ka nasha
Vo to chand alfaaz hai usse fasana kya kahe.n

Na ho jisme junoon vo zasba mohbbat karne ka
Usse deewana kya kahe.n

is qadar ho asar nasha-e-mohbbat ka,jo na rok paye
apne do pal apne pyaar usse bahana kya kahe.n

inteha nahi hoti is pyar me
jo naap le pyaar ko usse paimana kya kahe.n

chala gaya vo zamana kasamo pe aitbaar ka
dard na ho jis pyaar k azamana kya kahe.n