Friday, June 17, 2011

Kabhi na karna shaadi pyaare

kabhi na karna ye shaadi pyare
ye to jivan ki barbaadi pyare

patni bole office se jaldi aa jana
uske baad mujhe cinema dekhane le jana
lautte waqt pappu ke dipers lete aana
aur agar mil jaye agar to daniya bhi lete aana

chhin jati hai zawani me aazadi pyare
nazuk kandho par aa jati hai zimedari pyare


shaadi se pehle kahe pati hai me devdas tu chandramukhi
band jate hai hum ek bandan me tu bhi sukhi me bhi sukhi
aur jab ho jati hai shaadi pati hota hai atma dukhi
patni hoti hai jwalamukhi
kahte hai ek duje se alag alag ho jaye tu bhi sukhi me bhi sukhi
jaha kabhi chalte the pyare ke teer vaha chal jati hai lathi pyare
jab ladka ladki bandh jate bandhan me aur ho jati hai shaadi pyare

jo yuva karte hai shaadi bina soche samjhe vo apna zivan bigard lete hai
aur jo karte hai soch samajh kar vo kya ukaard lete hai
kahti hai patni saath me zelenge sare dukh sabhi
pati soche ye na hoti to dukh hi na hote kabhi
romeo-juliet heer-raanja ki dastaan bhi ho jati dukh bhari pyare
na yaad karta koi unhe jo kar le hoti unho bhi shaadi pyare

jab chalte hai pati patni haath pakad kar bazaar me
dekhne walo ko lagta hai ye dono to hai pyaar me
patni ko lagta hai pati ho gaya hai romantic
asal me ye mamla hota hai economic
na roke agar vo patni ko to vo ban jata hai bekhari pyare
jab ho jati hai patni ki pati ke account se shaadi pyare