Friday, April 22, 2011

Sikh liya hai



apni buri kismat ke saath jeena sikh liya hai
ye karwa jaam peena sikh liya hai


koi humsafar nahi is rah me mera
har mod par naye dost banana sikh liye hai


bahut tej chalna bhi khatre ki nishani hai
kuch der thaharna bhi sikh liya hai


asan nhi hai zindagi ka safar teh karna
kadam kadam par jir kar uthna sikh liya hai


manzil ab jyada dur nahi hai jab itna intezaar kar liya
kuch der aur intezaar karna sikh liya hai


chahe jaise bhi ho meri zindagi ka safar
zindagi ko pyaar se gale lagana sikh liya hai

apni buri kismat ke saath jeena sikh liya hai
ye karwa jaam peena sikh liya hai

Wednesday, April 20, 2011

Umeed Na Karna

tum mujhe chhod kar jana hai to chali jao
par mujhse muskurane ki umeed na karna


tum mujhe yaad karo na karo
mujhe tumhe bhool jane ki umeed na karna


un mehfilo me phir se mein jaunga to zarur
magar phir se mujhse dil lagane ki umeed na karna


jab hoga zikr bewaafai ka kisi mehfil me
tumhara naam jehan me na aaye essi umeed na karna


bahut dard diya hai tumne mujhko
kisi aur se batunga ye dard essi umeed na karna

Friday, April 15, 2011

Kya dekha tumne


tumne mere labo par muskurahat to dekhi
par nigaho me chupe us gum ko nahi dekha
tumne vo sawan ki rimjhim barish to dekhi
par uske piche ke toofan ko nahi dekha

sangemarmar ke mahlo ki shan-o-shauk to dekhi
par uske piche ki viraniyo ko nahi dekha

aine me apni chhaya to dekhi
samne khade is shaks ko nhi dekha

tumne baharo me khilte un kaliya to dekhi
lekin patjad ke un katton ko nahi dekha

tumne gairo ke dil ke pyar ko to dekha
par apno ki nigaho me nafrat ko nhi dekha

tumne 2 pal ki zindagi to dekhi
par pal pal meri pal pal ki maut ko nahi dekha