Monday, November 28, 2011

Meri Dastaan 2


kisi ne kaha humse ki
tumhari kavita me vo luft nahi
vo gehrai nahi
hume kaha ye alfaaz to dil se nikalte hai
jiski gehrai ko kabhi kisi ne chhua hi nahi


Ajab si kuch yun daastan hui hamari
tanhai aayi jholi me sari ki sari
yun to jane pehchane bht log hai zindagi me
koi khaas ho, jo dil ke pass ho
essa koi humnasheen hua hi nahi
un dil ki gehraiyo ko kabhi kisi ne chhua hi nahi


padte hai jab be ishq ke kisse
dil me ek dard sa uthta hai
gam ki chhata chhai rahti hai
in viraniyo me ab dum sa guthta hai
akhir kaise likhe fasane-e-mohbaat
isliye kabhi esse lafz nikle hi nahi
un dil ki gehraiyo ko kabhi kisi ne chhua hi nahi


sitaro se bhara hai aasma, bas aftaab ki kami hai
mehfil me phool to kahi hai bas ek gulaab ki kami hai
yun to khuda ka diya sab kuch hai hamare pass
khushi rahne ke dua ki kami hai
nikli kisi ne dil se essi dua hi nahi 
un dil ki gehraiyo ko kabhi kisi ne chhua hi nahi

Friday, November 25, 2011

Kuch Unkahi Yaadein


vo baat baat par tera therna yaad aata hai
mera roothna aur tera manna yaad aata hai


mere latifho par gussa dikhana aur phir
tera vo halke se muskurana yaad aata hai


waqt ka yun tham sa jana
vo tera mere kareeb aana yaad aata hai


vo sar juka kar muskurana 
teri ankho se samunder me doob jana yaad aata hai


zuda karti hai jab hawa
zard patton ko shakho se
palkhe kuch nam si ho jati hai
tera mujhse yun dur jana yaad aata hai


barso beet gaya tujhe yaad karte karte yun
ab teri yaadein bhi bhool gaya hun
bas tujhe yaad karna yaad aata hai

Wednesday, October 26, 2011

Me hoon yahaan



Hey guy. this is the new poem i have written. I found words were not enough to convey my message so added some picture to it. You can corelate them

Monday, July 4, 2011

Wafa ya bewafa thi meri vo sanso me basa hai vo
Juda hua hi nahi vo humse usse begana kya kahe.n

Na ho dard jisme ho na pyaar ka nasha
Vo to chand alfaaz hai usse fasana kya kahe.n

Na ho jisme junoon vo zasba mohbbat karne ka
Usse deewana kya kahe.n

is qadar ho asar nasha-e-mohbbat ka,jo na rok paye
apne do pal apne pyaar usse bahana kya kahe.n

inteha nahi hoti is pyar me
jo naap le pyaar ko usse paimana kya kahe.n

chala gaya vo zamana kasamo pe aitbaar ka
dard na ho jis pyaar k azamana kya kahe.n

Friday, June 17, 2011

Kabhi na karna shaadi pyaare

kabhi na karna ye shaadi pyare
ye to jivan ki barbaadi pyare

patni bole office se jaldi aa jana
uske baad mujhe cinema dekhane le jana
lautte waqt pappu ke dipers lete aana
aur agar mil jaye agar to daniya bhi lete aana

chhin jati hai zawani me aazadi pyare
nazuk kandho par aa jati hai zimedari pyare


shaadi se pehle kahe pati hai me devdas tu chandramukhi
band jate hai hum ek bandan me tu bhi sukhi me bhi sukhi
aur jab ho jati hai shaadi pati hota hai atma dukhi
patni hoti hai jwalamukhi
kahte hai ek duje se alag alag ho jaye tu bhi sukhi me bhi sukhi
jaha kabhi chalte the pyare ke teer vaha chal jati hai lathi pyare
jab ladka ladki bandh jate bandhan me aur ho jati hai shaadi pyare

jo yuva karte hai shaadi bina soche samjhe vo apna zivan bigard lete hai
aur jo karte hai soch samajh kar vo kya ukaard lete hai
kahti hai patni saath me zelenge sare dukh sabhi
pati soche ye na hoti to dukh hi na hote kabhi
romeo-juliet heer-raanja ki dastaan bhi ho jati dukh bhari pyare
na yaad karta koi unhe jo kar le hoti unho bhi shaadi pyare

jab chalte hai pati patni haath pakad kar bazaar me
dekhne walo ko lagta hai ye dono to hai pyaar me
patni ko lagta hai pati ho gaya hai romantic
asal me ye mamla hota hai economic
na roke agar vo patni ko to vo ban jata hai bekhari pyare
jab ho jati hai patni ki pati ke account se shaadi pyare

Friday, April 22, 2011

Sikh liya hai



apni buri kismat ke saath jeena sikh liya hai
ye karwa jaam peena sikh liya hai


koi humsafar nahi is rah me mera
har mod par naye dost banana sikh liye hai


bahut tej chalna bhi khatre ki nishani hai
kuch der thaharna bhi sikh liya hai


asan nhi hai zindagi ka safar teh karna
kadam kadam par jir kar uthna sikh liya hai


manzil ab jyada dur nahi hai jab itna intezaar kar liya
kuch der aur intezaar karna sikh liya hai


chahe jaise bhi ho meri zindagi ka safar
zindagi ko pyaar se gale lagana sikh liya hai

apni buri kismat ke saath jeena sikh liya hai
ye karwa jaam peena sikh liya hai

Wednesday, April 20, 2011

Umeed Na Karna

tum mujhe chhod kar jana hai to chali jao
par mujhse muskurane ki umeed na karna


tum mujhe yaad karo na karo
mujhe tumhe bhool jane ki umeed na karna


un mehfilo me phir se mein jaunga to zarur
magar phir se mujhse dil lagane ki umeed na karna


jab hoga zikr bewaafai ka kisi mehfil me
tumhara naam jehan me na aaye essi umeed na karna


bahut dard diya hai tumne mujhko
kisi aur se batunga ye dard essi umeed na karna

Friday, April 15, 2011

Kya dekha tumne


tumne mere labo par muskurahat to dekhi
par nigaho me chupe us gum ko nahi dekha
tumne vo sawan ki rimjhim barish to dekhi
par uske piche ke toofan ko nahi dekha

sangemarmar ke mahlo ki shan-o-shauk to dekhi
par uske piche ki viraniyo ko nahi dekha

aine me apni chhaya to dekhi
samne khade is shaks ko nhi dekha

tumne baharo me khilte un kaliya to dekhi
lekin patjad ke un katton ko nahi dekha

tumne gairo ke dil ke pyar ko to dekha
par apno ki nigaho me nafrat ko nhi dekha

tumne 2 pal ki zindagi to dekhi
par pal pal meri pal pal ki maut ko nahi dekha

Tuesday, March 15, 2011

Thoughts


Oh Thoughts
Oh Thoughts
Please go away
let the sleep come my way
So I can start a whole new big day
I have been up all night
take a time out and please don't fight
I am now tired of struggling with my bed
please Stop messing in my head

Oh Thoughts
Oh Thoughts
I have taken my sleeping pills
i am still active with my chills
Please settle for a while
Stay calm and just don't fight
Stop playing tricks
feels like you are some kind of freaks

Oh Thoughts
Oh Thoughts
You're making me furious
My brain is now delirious
Its 5AM in the morning
I am staring at the ceiling
It’s just you and sleep don't get along so well
Now soon I will be snoozing my alarm bell

Saturday, March 12, 2011

Tanha hi roye


jab tanha chod kar chale gaye vo
na raha koi hosh hume khoye khoye se the hum
chaha koi hume bhi gale laga le
roti hui ankho ko koi to chup kara de
khwahish ye adhoori si dil mein basa ke roye hum
kabhi khud mein simat kar kabhi khud se lipat kar roye hum
lekin jab bhi roye tanha hi roye hum

naakamiyaabi ke silsile lagne lage the zindagi me
Gam hi lagte the har khush me
ab to katne laga ek ek pal esse
ek pal me sadi gujar gayi ho jaise
aaj bhi roye aur kal bhi roye
kabhi pal ke liye roye hum
essa laga jaise sadiyo se roye hum
lekin jab bhi roye tanha hi roye hum

Bas ek dost ki talash thi hume
Jo saath de hamara de in anjaani raho par
In begani mehfilo me
saath ho koi apna toofan-e-zindagi me
Kya kuch jyada mang liye tha is zindagi me
kabhi un mehfilo me muskura kar roye hum
to kabhi un raho par ashk baha kar roye hum
lekin jab bhi roye tanha hi roye hum

Wednesday, March 9, 2011

Darr lagne laga hai





andhero se ghire hue the hum 
hame to uzaalon se darr lagne laga hai
Tanhai hi to ik sachi saathi rahi hai hamari
Ab to hume kisi aur ke saath se darr lagne laga hai

Diye hai dhoke apno ne is kadar ki ghairo ki kya kahe 
hume to apno se darr lagne laga hai
zindagi me mili to bas nafrat hi nafrat
ab to hume pyaar se darr lagne laga hai

Kanton par hi to pale bade hue hai hum
hame to bas phoolo se darr lagne laga hai
roye hai hum zindagi bhar ab ashko se nhi
hume to muskurahato se darr lagne laga hai

aur kisi ki kya kahe ab hum
hame to ab khud se hi darr lagne laga hai
ab is zindagi me rakha hi kya hai ab
hume maut se nahi zine me darr lagne laga hai

Friday, February 4, 2011

An Evening To Remember


I remember that day we were together
It was Christmas Eve and love was in the weather
I can't never forget that stroll down the street
For me it was like a complete Christmas treat

I froze when you walked my way
My mind was so restless and I had nothing to say
I never expected you to be so damn good
Literally staring at you there I stood

There was neither candle light nor champagne
A little clouds in the sky as if it’s going to rain
None of us cared about the environment
We were lost in each other walking on the pavement

We talked about things we tell no one
That dabbing of ice cream was so much fun
 The best part was the WALTZ without the music on the street
The innocent look of yours was damn so sweet

We were coming near to the end and you had to go
Still I had so much to say and so much of love to show
There was so much of thrill
We kissed like we invented it
I wish time could have stood still

But these magical moments had to end
I will cherish those moment together we spent
As you walked towards the door I stood there smiling
Thinking one day I am going to marry you
Coz the love and the bonding we share is so true
 And I want to spend rest of my life with you